How To Write Blog in hindi, Best tips You should read now
Digital duniya me blogging ek bda online work ban gya hai. Har koi janna chahta hai ki, how to write blog in hindi ek bdhiya blog kaise likhe.

Kaise apne business ka marketing kre. Agr aap bhi janna chahte hai ki how to write blog (blog kaise likhe) to aapke liye ye post bahut hi helpful hogi.
Contents
Blog kya hai ( What is blog?)
Sbse pahle to hum jan lete hai, ki ye blog hai kya kyu digital marketing me upyogi hai. Kaise log blogging krke paisa kamate hai?
Agar simple bhasha me kahu to blog ek chiththi hai. Digital chithi jisko hum digital madhymo se duniya tak pahuncha skte hai jisme helpful articles ko likhne hote hai. Or unhe facebook, google, bing jaise digital platforms par share krke logo ki help krte hai. Or un blogs par advertisement dikha kar paise kamate hai.
Read Also
How to write blog in hindi ( Blog kaise likhe)
Ab hum apne main mudde par pahunch gye ki ek successful blog kaise likhe? Maine pahle hi btaya ki blog ek digital chithi hai. Pahle log use kagaj (paper) pe likhte the. Digital jmane me log usi chithi ko mobile ya laptop jaise aadhunik or digital upkrno me likhte hai
Best tools ka use kare
- Ek digital blog likhne ke liye aapke pas mobile ya laptop hona chahie. Inke alava bhi aap kisi bhi digital upkrna (उपकर्ण) ka upyog kar skte hai jisme aap typing kar ske.
- Agr aap blog ko prakashit krna chahte hai to ek blogging website ki jrur hai. Agar aapke pas koi blogging website nhi hai to kisi dusre ki website par aap publish krva skte hai.
- Agr aap use publish nhi karna chahte to aap microshoft word tool me likhkar save kar skte hai
- Blog likhne ke liye aapke pas minimum 1000 word ka thought hona chahie. Koi bhi ek topic par jis par aap likhna chahte hai. Jisme apko knowledge hai us par aap blog likh skte hai.
Read Also
Blog ka attractive title rakhe
Blog ke liye blog title bahut hi important hai. Koi bhi reader sbse pahle title ko dekhta hai agr unhe title helpful or attractive rkhte hai to reader ko pdhne me help hogi.
Agr aap blogger bnna chahte hai or earn krna chahte hai to title bahut hi important hai.
Bloggers ke blog ko google me rank krvane ke liye blog SEO friendly rkhna pdta hai. Jiska upyog aap keyword research tools ka use krke rkh skte hai. Blog title ko attractive rkhna jruri hai. Kuchh suspense bhi rkhe taki reader turnt use pdhne ke liye click kre.
Blog me ek attractive image dale
Image bahut hi important hai. Hmne school me kahaniya ki books pdhi hogi. Or un sbsme kuchh image hote the or hum us image ko bde dhyan se dekhte the. To isi trh blog me bhi ek blog ke related image ka hona bahut hi jruri hai. Taki reader us image ke jriye smj jaye ki blog kis type ka hoga.
Image ko kahase bhi copy na kre. Image khud bnaye ya fir khud capture kre. Image ko thoda bahut edit krke blog ke related kuchh texts usme dale.
Is trah image blog me dalna bahut hi important hai. Image ko copy na kre to hi bdhiya rhega. Image hmesa blog ke related hi dale. Taki reader smaj jaye ki blog kis topic pe hai
Apni favourite language me blog likhe
Blog ko likhne ke liye aap koi bhi language ka upyo kar skte hai. Lekin aap blogger bnna chahte hai to, hindi language ya english language me hi apna blog likhe.
Kyuki india me aabadi bahut hai agr aap hindi lnguage me likhte hai to vo aasani se google me rank hogi. Or aap english me likhte hai to uski reader puri duniya bn jaegi.
Reader friendly text and title rakhe
Ab ye main point aa gya ki blog me jb hum likhte hai to kaise likhe. Blog me likhne ke liye sbse pahle to hmare pas kisi bhi topic ke 800 se 1000 words ka thought hona chahie. Tbhi reader use psnd krta hai. Reader smjega ki is bnde ke pas kuchh knowledge hai tbhi usne itna likha hai. Or vo read krna start krega.
- Typing krte vkta alag alag topics me likhe. Or har topic ka sub heading rkhe. Taki reader smj jaye ki topic kis bareme hai.
- Subheading attractive rkhe.
- Ek sath me bahut bda topic na likhe. Use divide krke alag alag likhe.
- Typing krne vkt dhyan se likhe glat spelling na likha jay.
Is tarh aap dhyan se ek achcha blog likh skte hai. Hmne aap ko step by step smjaya hai ki blog kaise likha jay. Agr aap example se smjna chahte hai, to jo aap abhi pdh rhe hai vo ek blog hi hai. Jise aap puri trh dekh skte hai or smj skte hai ki ye blog kaise likha gya hai.
How to useful blog?(Blog kaise upyogi hai)
Hum sbhi jante hai ki diniya kitni digital bn gai hai. Log books pdhna chhod diye hai. Kuchh bhi pdhna ho to unhe apne mobile or laptop me mil jata hai. Jo digital duniya ka bahut bda fayda hai.b
Blog marketers ke liye bhut hi upyogi hai. Vo apne business ko devlop krne ke liye business ke bareme likhkar logo tak pahunchate hai. Jo bahut bda fayda ho gya hai.
Blogging ek business ban gya hai. Apne andar ke knowledge ko share krne ka bahut hi achcha platform hai. Jis par apne knowledge ko share krke achchi kmai kar skte hi. Jo bahut hi achchi bat hai.
Conclusion
To friends aap smj hi gye honge ki aakhir blog kya hai kaise likha jata hai (how to write blog in hindi) or hmare liye kaise upyogi hai. Or jo aap pdh rhe hai vo bhi ek blog hi hai. Jise dekh kar aap blogging ke bareme bahut hi achche se smj jaenge. To bs friends aapko ye blog psnd aaya ho to apne dosto ke sath jrur share jrur kre.
Read these posts also
- Speech on teachers day in hindi
- Ghar baithe job karke paise kaise kamaye
- Reddit kya hai or reddit ka upyog kaise kare
- 10th ke bad best career courses in hindi
- PICSART me background edit kaise kre best tips
- Quora se ghar baithe paise kaise kamaye
- Useful android apps ki jankari hindi me
- Ek hi number pe do whatsapp kaise chalaye
mujhe apka blog bahut hi acha lga apke kai post bhi isilye hmne apka blog ko bookmark krke rkha hai. Thanks for sharing.
Thank you dost
Really Helpful Article Brother. Keep posting and keep working.
Thanks bro
very good seo friendly article
Thanks
tytytytytytytytytytytytytynh,l,
welcome
Thank You for the information…
Welcome
Nice information 👍👍
Thank hou
Nice Post. Very Helpful
Thanks
I know this if off topic but I’m looking into starting my own weblog and was curious what all is needed to get set
up? I’m assuming having a blog like yours would cost a pretty penny?
I’m not very internet smart so I’m not 100% positive.
Any tips or advice would be greatly appreciated. Thanks